tamannaao.n me.n ulajhaayaa gayaa huu.N
Shad Azeemabadi

tamannaao.n me.n ulajhaayaa gayaa huu.N
khilaune deke bahalaayaa gayaa huu.N

huu.N is kuuche me.n har zarre se aagaah
idhar se muddato.n aayaa gayaa huu.N

[aagaah=alert to]

dil-e-muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm
mai.n Khud aayaa nahii.n laayaa gayaa huu.N

[dil-e-muztar=impatient heart]

saveraa hai bahut ai shor-e-mahashar
abhii bekaar uThavaayaa gayaa huu.N

[mahashar=Day of Judgement]

lahd me.n kyuu.N na jaauu.N muu.Nh chhupaaye
bharii mahafil se uThavaayaa gayaa huu.N

[lahd=grave]

kujaa mai.n aur kujaa ai "Shad" duniyaa
kahaa.N se kis jagah laayaa gayaa huu.N

[kujaa=where]

Home | Index of Poets


Last updated on 3rd February, 1999