phuul Khushbuu jhiil mausam dhuup titalii aur havaa
sab ke cheharo.n par udaasii tere jaane ke baad
kam nahii.n ho.ngii dasht-e-tanhaa_ii kii raunaqe.n
ek diivaanaa ha.Nsegaa ek diivaane ke baad
labo.n par jaan rakh dii hai use Khabar kar do
mariiz us kaa abhii hai use Khabar kar do
salaaKhe.n chuum rahe hai.n jo qaid_Khaane kii
sazaa us kii vahii hai use Khabar kar do
jab bikaa baazaar me.n yuusuf thaa mai.n
daar pe laTakaa to mai.n mansuur thaa
sabhii ne koshishe.n kar lii.n magar tere sadqe
falak pe shams azaan-e-bilaal se nikalaa
[shams = Sun]
|