chaa.Ndanii raat me.n chaa.Nd ke saamane
Shevan Bijnauri

chaa.Ndanii raat me.n chaa.Nd ke saamane
ruKh se pardaa haTaanaa Gazab ho gayaa
chaa.Ndanii chhup ga_ii chaa.Nd sharmaa gayaa
aap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaa

[ruKh=face]

dil kii dha.Dakan merii tez hone lagii
raat aa.Nkho.n me.n kaaNTe.n chubhone lagii
vasl kii raat me.n baat hii baat me.n
yuu.N teraa ruuTh jaanaa Gazab ho gayaa

[vasl=meeting/union]

jhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab uThii
raat apanii to karavaT badalate kaTii
kuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.n
kuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gayaa

apane hisse me.n tuufaa.N kii taqadiir thii
zindagii apanii maujo.n kii zanjiir thii
Duub jaane kaa apane hame.n Gam na thaa
us kaa saahil pe aanaa Gazab ho gayaa

[saahil=shore]

Home | Index of Poets


Last updated on 20th January, 2000