Home | Index of Poets Sahir Ludhianvi

ahal-e-dil aur bhii hai.n ahal-e-vafaa aur bhii hai.n


ahal-e-dil aur bhii hai.n ahal-e-vafaa aur bhii hai.n
ek ham hii nahii.n duniyaa se Khafaa aur bhii hai.n

[ahal-e-dil = dil vaale; Khafaa = angry (with)]

kyaa huaa gar mere yaaro.n kii zabaane.n chup hai.n
mere shaahid mere yaaro.n ke sivaa aur bhii hai.n

[shaahid = one who bears witness]

ham pe hii Khatm nahii.n maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhii hai chaak-e-qabaa aur bhii hai.n

[maslak-e-shoriidaa_sarii = rebellious ways; qabaa = long gown]

sar salaamat hai to kyaa sang-e-malaamat kii kamii
jaan baaqii hai to paikaan-e-qazaa aur bhii hai.n

[sang-e-malaamat = stones of accusations/reproach]
[paikaan = arrow; qazaa = death]

munsif-e-shahar kii vahadat pe na harf aa jaaye
log kahate hai.n ke arabaab-e-jafaa aur bhii hai.n

[munsif = judge; vahadat = oneness, unity]

Home | Index of Poets Sahir Ludhianvi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 18th October, 2001