Home | Index of Poets Sahir Ludhianvi

dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qariib se


dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qariib se
chehare tamaam lagane lage hai.n ajiib se

is re.ngatii hayaat kaa kab tak uThaaye.n baar
biimaar ab ulajhane lage hai.n tabiib se

[re.ngatii = crawling; baar = weight; tabiib = healers]

har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal kii raah milatii hai kuu-e-habiib se

[gaam = step; majamaa = crowd; ushshaaq = lovers (plural of aashiq)]
[maqtal = place where peopel are executed; kuu-e-habiib = friend's street]

is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko_ii nibaah rahaa ho raqiib se

[raqiib = rival]

ai ruuh-e-asar jaag kahaa.N so rahii hai tuu
aavaaz de rahe hai.n payambar saliib se

[saliib = cross]

Home | Index of Poets Sahir Ludhianvi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001