Chakle - sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?
Sahir Ludhianvi

ye kuuche ye niilaam ghar dil_kashii ke
ye luTate hue kaarawaa.N zindagii ke
kahaa.N hai.n, kahaa.N hai.n muhaafiz Khudii ke?

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.N hai.n?

ye pur_pe.nch galiyaa.N, ye be_Khaab baazaar
ye gumanaam raahii, ye sikko.n kii jha.nkaar
ye ismat ke saude, ye saudo.n pe takaraar

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

ta'affun se pur niim_roshan ye galiyaa.N
ye masalii huii adh_khilii zard kaliyaa.N
ye bikatii huii khokalii rang_raliyaa.N

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

wo ujale dariicho.n me.n paayal kii chhan-chhan
tanaffus kii ulajhan pe tabale kii dhan-dhan
ye be_ruuh kamaro.n me.n khaa.Nsii kii dhan-dhan

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

ye guu.Nje hue qah-qahe raasto.n par
ye chaaro.n taraf bhii.D sii khi.Dakiyo.n par
ye aawaaze.n khii.nchate hue aa.Nchalo.n par

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

ye phuulo.n ke gajare, ye piiko.n ke chhii.nTe
ye be_baak nazare.n, ye gustaaKh fiqare
ye dhalake badan aur ye madaquuq chehare

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

ye bhuukii nigaahe.n hasiino.n kii jaanib
ye ba.Date hue haath siino.n kii jaanib
lapakate hue paa.Nv ziino.n kii jaanib

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

yahaa.n piir bhii aa chuke hai.n jawaa.N bhii
tanuu_mand beTe bhii, abbaa miyaa.N bhii
ye biiwii bhii hai aur bahan bhii hai, maa.N bhii

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

madad chaahatii hai ye hawwaa kii beTii
yashodaa kii ham_jins raadhaa kii beTii
payambar kii ummat zulaiKhaa kii beTii

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

zaraa mulk ke raah_baro.n ko bulaao
ye kuuche ye galiyaa.N ye ma.nzar dikhaao
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq ko laao

sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?

Home | Index of Poets


Last updated on 4th December, 1997