Home | Index of Poets Rahat Indori

cheharo.n kii dhuup aa.Nkho.n kii geharaa_ii le gayaa


cheharo.n kii dhuup aa.Nkho.n kii geharaa_ii le gayaa
aa_iinaa saare shahar kii biinaa_ii le gayaa

Dube huye jahaaz pe kyaa tabsaraa kare.n
ye haadasaa to soch kii geharaa_ii le gayaa

haalaa.Nki bezubaan thaa lekin ajiib thaa
jo shaKhs mujh se chhiin ke goyaa_ii le gayaa

is vaqt to mai.n ghar se nikalane na paa_uu.Ngaa
bas ek kamiiz thii jo meraa bhaa_ii le gayaa

jhuuTe qasiide likhe gaye us kii shaan me.n
jo motiyo.n se chhiin ke sachchaa_ii le gayaa

yaado.n kii ek bhii.D mere saath chho.D kar
kyaa jaane vo kahaa.N merii tanhaa_ii le gayaa

ab asad tumhaare liye kuchh nahii.n rahaa
galiyo.n ke saare sang to saudaa_ii le gayaa

ab to Khud apanii saa.Nse.n bhii lagatii hai.n bojh sii
umro.n kaa dev saarii tavanaa_ii le gayaa

Contributed by Faisal Rahat

Home | Index of Poets Rahat Indori
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 31st December, 2005