Home | Index of Poets Razi Akhtar Shauq

ye kaun Duub gayaa aur ubhar gayaa mujh me.n


ye kaun Duub gayaa aur ubhar gayaa mujh me.n 
ye kaun saaye kii suurat guzar gayaa mujh me.n

ye kis ke soG me.n shoridaa-haal phirataa huu.N 
vo kaun shaKhs thaa aisaa ki mar gayaa mujh me.n

[soG=mourning; shoridaa-haal=wretched condition]

ajab havaa-e-bahaaraa.N ne chaaraasaazii kii 
vo zaKhm jis ko na bharanaa thaa bhar gayaa mujh me.n

[havaa-e-bahaaraa.N=winds of spring; chaaraasaazii=cure]

vo aadamii ki jo patthar thaa jii rahaa hai abhii 
jo aa_iinaa thaa vo bikhar gayaa mujh me.n

bisaal kyaa ki vo jab bhii qariib se guzaraa 
vo yuu.N lagaa ki ko_ii raqs kar gayaa mujh me.n

[raqs=dance]

vo saath thaa to ajab dhuup chaa.Nv rahatii thii 
bas ab to ek hii mausam Thahar gayaa mujh me.n

Home | Index of Poets Razi Akhtar Shauq
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 1st March, 2002