Home | Index of Poets Prem Warbartoni

kabhii to khul ke baras abr-e-meharabaa.N kii tarah


kabhii to khul ke baras abr-e-meharabaa.N kii tarah 
meraa vajuud hai jalate hue makaa.N kii tarah 

bharii bahaar kaa siinaa hai zaKhm zaKhm magar 
sabaa ne gaaye hai.n lorii shafiiq man kii tarah 

vo kaun thaa jo barahanaa badan chaTTaano.n se 
lipaT gayaa thaa kabhii bahr-e-bekaraa.N kii tarah 

sakuut-e-dil to jaziiraa hai barf kaa lekin 
teraa Khuluus hai suuraj ke saayebaa.N kii tarah 

mai.n ik Khvaab sahii aap kii amaanat huu.N 
mujhe sambhaal ke rakhiyegaa jism-o-jaa.N kii tarah 

kabhii to soch ke vo shaKhs kis qadar thaa bula.nd 
jo bichh gayaa tere qadmo.n me.n aasmaa.N kii tarah 

bulaa rahaa hai mujhe phir kisii badan kaa basa.nt 
guzar na jaaye ye rut bhii kahii.n Khizaa.N kii tarah 

lahuu hai nisf sadii kaa jis ke aabagiine me.n 
na dekh "Prem" use chashm-e-arGavaa.N kii tarah 

Home | Index of Poets Prem Warbartoni
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 30th December, 2002