Home | Index of Poets Parveen Shakir

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uu.Ngii


kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uu.Ngii 
mai.n apane haath se us kii dulhan sajaa_uu.Ngii 

supurd kar ke use chaa.Ndanii ke haatho.n 
mai.n apane ghar ke a.Ndhero.n ko lauT aa_uu.Ngii 

badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa 
mai.n dil me.n rouu.Ngii aa.Nkho.n me.n muskuraa_uu.Ngii 

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye 
mai.n kis se ruuTh sakuu.Ngii kise manaa_uu.Ngii

vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahii.n lekin 
mai.n ab bhii us ke ishaaro.n pe sar jhukaa_uu.Ngii 

bichhaa diyaa thaa gulaabo.n ke saath apanaa vajuud 
vo so ke uThe to Khvaabo.n kii raakh uThaa_uu.Ngii 

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa 
mai.n kis kii nazm akele me.n gun_gunaa_uu.Ngii 

[manasuub=attached] 

javaz Dhuu.NDh rahaa thaa na_ii muhabbat kaa 
vo kah rahaa thaa ke mai.n us ko bhuul jaa_uu.Ngii 

[javaz=reason] 

sama'ato.n me.n ghane jangalo.n kii saa.Nse.n hai.n
mai.n ab kabhii terii aavaaz sun na paa_uu.Ngii

Contributed by Zulqarnain Khan

Home | Index of Poets Parveen Shakir
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 25th May, 2001