Home | Index of Poets Nasir Kazmi

phir saavan rut kii pavan chalii tum yaad aaye


phir saavan rut kii pavan chalii tum yaad aaye
phir patto.n kii paazeb bajii tum yaad aaye

[paazeb = anklet (paayal)]

phir ku.Nje.n bolii.n ghaas ke hare samandar me.n
rut aa_ii piile phuulo.n kii tum yaad aaye

phir kaagaa bolaa ghar ke suune aa.Ngan me.n
phir amrat ras kii buu.Nd pa.Dii tum yaad aaye

pahale to mai.n chiiKh ke royaa aur phir ha.Nsane lagaa
baadal garjaa bijalii chamakii tum yaad aaye

din bhar to mai.n duniyaa ke dhandho.n me.n khoyaa rahaa
jab diivaaro.n se dhuup Dhalii tum yaad aaye

Home | Index of Poets Nasir Kazmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 25th October, 2001