Home | Index of Poets Nasir Kazmi

giriftaa_dil hai.n bahut aaj tere diivaane


giriftaa_dil hai.n bahut aaj tere diivaane 
Khudaa kare ko_ii tere sivaa na pahachaane 

miTii miTii sii ummiide.n thake thake se Khayaal 
bujhe bujhe se nigaaho.n me.n Gam ke afasaane 

hazaar shukr ke ham ne zubaa.N se kuchh na kahaa 
ye aur baat ke puuchhaa na ahal-e-duniyaa ne 

baqadr-e-tashnaa_labii pursish-e-vafaa na hu_ii 
chhalak ke rah gaye terii nazar ke paimaane 

Khayaal aa gayaa maayuus rah_guzaaro.n kaa 
palaT ke aa gaye manzil se tere diivaane 

kahaa.N hai tuu ke tere intazaar me.n ai dost 
tamaam raat sulagate rahe dil ke viiraane 

ummiid-e-pursish-e-Gam kis se kiijiye 'Nasir'
jo mere dil pe guzaratii hai ko_ii kyaa jaane 

Home | Index of Poets Nasir Kazmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 3rd June, 2001