Home | Index of Poets Nasir Kazmi

naye kapa.De badal kar jaa_uu.N kahaa.N aur baal banaa_uu.N kis ke liye


naye kapa.De badal kar jaa_uu.N kahaa.N aur baal banaa_uu.N kis ke liye 
vo shaKhs to shahar hii chho.D gayaa ab Khaak u.Daa_uu.N kis ke liye 

jis dhuup kii dil ko Tha.nDak thii vo dhuup usii ke saath ga_ii 
in jalatii bujhatii galiyo.n me.n ab Khaak u.Daa_uu.N kis ke liye 

vo shahar me.n thaa to us ke liye auro.n se milanaa pa.Dataa thaa 
ab aise-vaise logo.n ke mai.n naaz uThaa_uu.N kis ke liye 

ab shahar me.n is kaa baadal hii nahii.n ko_ii vaisaa jaan-e-Gazal hii nahii.n 
aivaan-e-Gazal me.n lafzo.n ke gul_daan sajaa_uu.N kis ke liye 

muddat se ko_ii aayaa na gayaa sun_saan pa.Dii hai ghar kii fazaa 
in Khaalii kamaro.n me.n 'Nasir' ab shammaa jalaa_uu.N kis ke liye 

Home | Index of Poets Nasir Kazmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 3rd June, 2001