dekhaa huaa saa kuchh hai to sochaa huaa saa kuchh
Nida Fazli

dekhaa huaa saa kuchh hai to sochaa huaa saa kuchh
har vaqt mere saath hai ulajhaa huaa saa kuchh

hotaa hai yuu.N bhii raastaa khulataa nahii.n kahii.n
ja.ngal-saa phail jaataa hai khoyaa huaa saa kuchh

saahil kii gilii ret par bachcho.n ke khel-saa
har lamhaa mujh me.n banataa bikharataa huaa saa kuchh

[saahil=shore; giilii=wet; lamhaa=moment]

fursat ne aaj ghar ko sajaayaa kuchh is tarah
har shay se muskuraataa hai rotaa huaa saa kuchh

[fursat=leisure; shay=object/thing]

dhu.Ndhalii sii ek yaad kisii qabr kaa diyaa
aur mere aas-paas chamkataa huaa saa kuchh

[qabr=grave]

Home | Index of Poets


Last updated on 22nd May, 1999