Contributed by Fayaz Razvi


ek TuuTii huii za.njiir kii fariyaad hai.n ham
Meraj Faizabadi

ek TuuTii huii za.njiir kii fariyaad hai.n ham
aur duniyaa ye samajhatii hai ke aazaad hai.n ham

kyo.n hame.n log samajhate hai.n yahaa.N paradesii
ik muddat se isii shahar me.n aabaad hai.n ham

kaahe kaa tark-e-vatan kaahe kii hijaarat baabaa
isii dhartii kii isii desh kii aulaad hai.n ham

ham bhii taamiir-e-vatan me.n hai.n baraabar ke shariik
dar-o-diivaar agar tum ho to buniyaad hai.n ham

ham ko is daur-e-taraqqii ne diyaa kyaa "Meraj"
kal bhii barbaad the aur aaj bhii barbaad hai.n ham

Home | Index of Poets


Last updated on 27th Januuary, 1998