Mehfil-e-Gazal #792
Meg Index |
March 2002 Index
Date: 15-Mar-2002
Poet: Anwar Masood
jis tarah kii hai.n ye diivaare.n ye dar jaisaa bhii hai
sar chhipaane ko mayassar to hai ghar jaisaa bhii hai
[mayassar = available]
us ko mujh se mujh ko us se nisbate.n hai.n beshumaar
merii chaahat kaa hai mahavar ye nagar jaisaa bhii hai
[nisbat = relations/expectations; beshumaar = countless]
[mahavar = centre/focus]
chal pa.Daa huu.N shauq-e-beparvaah ko murshad maan kar
raastaa pur_pech hai yaa pur_Khatar jaisaa bhii hai
[murshad = guide; pur_pech = winding/full of turns]
[pur_Khatar = dangerous]
sab gavaaraa hai thakan saarii dukhan saarii chubhan
ek Khushbuu ke liye hai ye safar jaisaa bhii hai
vo to hai maKhsuus ik terii mohabbat ke liye
teraa 'Anwar' baa_hunar yaa be_hunar jaisaa bhii hai
[maKhsuus = special]
-------------------------------------------------
Errata:
The poet of Mehfil-e-Gazal #791 is Sir Mohammed
Iqbal. I apologize for the error.
-------------------------------------------------
Meg Index |
March 2002 Index