Mehfil-e-Gazal #790
Meg Index |
March 2002 Index
Date: 08-Mar-2002
Poet: Zahra Nigaah
jo dil ne kahii lab pe kahaa.N aa_ii hai dekho
ab mahafil-e-yaaraa.N me.n bhii tanhaa_ii hai dekho
phuulo.n se havaa bhii kabhii ghabaraa_ii hai dekho
Guncho.n se bhii shabanam kabhii kataraa_ii hai dekho
ab zauq-e-talab vajah-e-junuu.N Thair gayaa hai
aur arz-e-vafaa baa_is-e-rusvaa_ii hai dekho
[vajah-e-junuu.N = reason for madness]
[baa_is-e-rusvaa_ii = reason for disgrace/disrepute]
Gam apane hii ashko.n kaa Khariidaar huaa hai
dil apanii hii haalaat kaa tamaashaa_ii hai dekho
Meg Index |
March 2002 Index