Mehfil-e-Gazal #523
Meg Index |
August 2000 Index
Date: 31-Aug-2000
Poet: Mahir Ratlami
hazaar Gam the merii zindagii akelii thii
Khushii jahaa.N kii mere vaaste pahelii thii
[pahelii = riddle]
vo aaj bach ke nikalate hai.n mere saaye se
ki mai.n ne jin ke liye Gam kii dhuup jhelii thii
judaa hu_ii na kabhii mujh se gardish-e-dauraa.N
merii hayaat kii bachapan se ye sahelii thii
[gardish-e-dauraa.N = wheel of time; hayaat = life]
cha.Dhaa rahe hai.n vo hii aaj aastii.n mujh par
ki jin kii piiTh pe kal tak merii hathelii thii
[aastii.n = sleeve]
ab un kii qabr pe jalataa nahii.n diyaa ko_ii
ki jin kii dahar me.n roshan bahut havelii thii
[qabr = grave; dahar = world]
vo jhuk ke phir merii turbat pe kar rahe hai.n salaam
isii adaa ne to "Mahir" kii jaan le lii thii
[turbat = grave]
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
To unsubscribe, send a blank e-mail to
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com
For all other queries, send an e-mail to
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Meg Index |
August 2000 Index