Mehfil-e-Gazal #521
Meg Index |
August 2000 Index
Date: 29-Aug-2000
Poet: Parveen Shakir
kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii
dil ko Khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii
[sard = cold; malaal = sorrow]
baat vo aadhii raat kii, raat vo puure chaa.Nd kii
chaa.Nd bhii ain chet kaa us pe teraa jamaal bhii
[chet = name of a month; jamaal = beauty]
sab se nazar bachaa ke vo mujh ko aise dekhate
ek dafaa to ruk ga_ii gardish-e-maah-o-saal bhii
dil to chamak sakegaa kyaa phir bhii taraash ke dekh lo
shiishaa-garaan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhii
[taraash = chisel/polish (stone); shiishaa-gar = glazier/one works with glass]
us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa
ab jo palaT ke dekhiye baat thii kuchh muhaal bhii
[muhaal = difficult/impossible]
merii talab thaa ek shaKhs vo jo nahii.n milaa to phir
haath duaa se yuu.N giraa bhuul gayaa savaal bhii
[talab = quest/want; shaKhs = person]
shaam kii naa-samajh havaa puuchh rahii hai ik pataa
mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhii
[naa-samajh = naive]
us ke hii baazuu_o.n me.n aur us ko hii sochate rahe
jism kii Khvaahisho.n pe the ruuh ke aur jaal bhii
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/
Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
To unsubscribe, send a blank e-mail to
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com
For all other queries, send an e-mail to
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Meg Index |
August 2000 Index