Mehfil-e-Gazal #514
Meg Index |
August 2000 Index
Date: 18-Aug-2000
Poet: Daag Dehlvi
A contribution by Robert, a member
of the Mehfil-e-Gazal family:
aarazuu hai vafaa kare ko_ii
jii na chaahe to kyaa kare ko_ii
gar marz ho davaa kare ko_ii
marane vaale kaa kyaa kare ko_ii
[marz = illness]
koste hai.n jale hue kyaa kyaa
apane haq me.n duaa kare ko_ii
[kosanaa = to curse]
un se sab apanii apanii kahate hai.n
meraa matalab adaa kare ko_ii
tum saraapaa ho suurat-e-tasviir
tum se phir baat kyaa kare ko_ii
[saraapaa = from head to toe; suurat-e-tasviir = like a picture]
jis me.n laakho.n baras kii huure.n ho.n
aisii jannat ko kyaa kare ko_ii
[huur = fairy; jannat = paradise]
--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/
Frequently Asked Questions:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/faq.html
To unsubscribe, send a blank e-mail to
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com
For all other queries, send an e-mail to
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Meg Index |
August 2000 Index