Mehfil-e-Gazal #327
Home |
October '99 Index
Date: 20-Nov-99
Poet: Ram Prasad Bismil
Sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai
dekhanaa hai zor kitanaa baazuu-e-qaatil me.n hai
karataa nahii.n kyo.n duusaraa kuchh baat-chiit
dekhataa huu.N mai.n jise vo chup terii mahafil me.n hai
ai shaahid-e-mulk-o-millat mai.n tere uupar nisaar
ab terii himmat kaa charchaa Gair kii mahafil me.n hai
[mulk = country; millat = nation/faith]
vaqt aane de bataa de.nge tujhe ai aasmaa.N
ham abhii se kyaa bataa_e.n kyaa hamaare dil me.n hai
Khii.nch kar laa_ii hai.n sab ko qatl hone kii ummiid
aashiqo.n kaa aaj jamaghaT kuuchaa-e-qaatil me.n hai
[jamaghaT = crowd; kuuchaa-e-qaatil = killer's lane]
Home |
November '99 Index