Mehfil-e-Gazal #130

Home | February '99 Index



Date: 12-Feb-99
Poet: Ahmed Nadeem Qasmi

vo ko_ii aur na thaa cha.nd Khushk patte the
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the

[Khushk = dry; cha.nd = few; shajar = tree; fasl-e-gul = spring]

abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa
abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the

tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii
kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaG jalate the

tamaam umr vafaa ke gunaahagaar rahe
ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the

shab-e-Khaamosh ko ta.nhaa_ii ne zabaa.N de dii
pahaa.D guu.Njate the dasht san-sanaate the

[shab-e-Khaamosh = silent night; dahst = desert]

vo ek baar mare jinako thaa hayaat se pyaar
jo zi.ndagii se gurezaa.N the roz marate the

[hayaat = life; gurezaa.N = to run away from]

naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zehan me.n
hamaare dil me.n kabhii khet lah-lahaate the

[zehan = mind]

ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n
puraane log naye aadamii se Darate the

[iratiqaa = progressive]

"Nadeem" jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the


Home | February '99 Index