Mehfil-e-Gazal #126

Home | January '99 Index



Date: 8-Feb-99
Poet: Khwaja Mir "Dard"


agar yo.n hii ye dil sataataa rahegaa
to ik din meraa jii hii  jaataa rahegaa

mai.n jaataa huu.N dil ko tere paas chho.De
merii yaad tujhako dilaataa rahegaa

galii se terii dil ko le to chalaa huu.N
mai.n pahu.Nchuu.Ngaa jab tak ye aataa rahegaa

qafas me.n ko_ii tum se ai ham-safiiro.n
Khabar kal kii hamako sunaataa rahegaa

[qafas = cage; ham-safiiro.n = co-inhabitants]

Khafaa ho ki ai "Dard" mar to chalaa tuu
kahaa.N tak Gam apanaa chhupaataa rahegaa


This ghazal by Mir Dard reminds me of the ghazal 
by Meer Taqi Meer 

jo is shor se Meer rotaa rahegaa
to ham-saayaa kaahe ko sotaa rahegaa


Home | January '99 Index