Mehfil-e-Gazal #122

Home | January '99 Index



Date: 2-Feb-99
Poet: Asgar Gondvi

ye raaz hai merii zi.ndagii kaa
pahane huye huu.N kafan Khudii kaa

phir nashtar-e-Gam se chhe.Date hai.n
ik tarz hai ye bhii dil dahii kaa

o lafz-o-bayaa.N me.n chhupane vaale
ab qasd hai aur Khaamoshii kaa

maranaa to hai ibtadaa kii ik baat
jiinaa hai kamaal mu.ntahii kaa

haa.N siinaa gulo.n kii tarah kar chaak
de mar ke sabuut zi.ndagii kaa




Home | January '99 Index