Home | Index of Poets Meer Taqi Meer

ishq me.n jii ko sabr-o-taab kahaa.N


ishq me.n jii ko sabr-o-taab kahaa.N
us se aa.Nkhe.n lagii.n to Khvaab kahaa.N
 
bekalii dil hii kii tamaashaa hai
barq me.n aise izteraab kahaa.N
 
hastii apanii hai biichh me.n pardaa
ham na hove.n to phir hijaab kahaa.N
 
giriyaa-e-shab se surKh hai.n aa.Nkhe.n
mujh balaa nosh ko sharaab kahaa.N
 
ishq hai aashiqo.n ko jalane ko
ye jahannum me.n hai azaab kahaa.N
 
mahv hai.n is kitaabii chehare ke
aashiqo.n ko sar-e-kitaab kahaa.N
 
ishq kaa ghar hai 'Meer' se aabaad
aise phir Khaanaamaa.N_Kharaab kahaa.N

Home | Index of Poets Meer Taqi Meer
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 24th April, 2001