Meer Taqi Meer


mere sang-e-mazaar par Farahaad
Meer Taqi Meer

mere sang-e-mazaar par Farahaad
rakh ke teshaa kahe hai 'yaa ustaad'

[sang=stone; mazaar=tomb; Farahaad=of Shirin-Farhad fame; teshaa=axe]

ham se bin marg kyaa judaa ho malaal
jaan ke saath hai dil-e-naashaad

[marg=death; malaal=sorrow/life's difficulties; dil-e-naashaad=wretched heart]

fikr-e-taamiir me.n na rah muniim
zindagii kii kuchh bhii hai buniyaad

[fikr=worry; taamiir=construction; muni'im=rich person/friend; buniyaad=foundation]

Khaak bhii sar pe Daalane ko nahii.n
kis Kharaabe me.n ham huye aabaad

[Khaak=dust/ashes; Kharaabe=wasteland]

sunate ho tuk suno ki phir mujh baad
na sunoge ye naalaa-o-fariyaad

[tuk=moment(here it means 'for a little while'); naalaa-o-fariyaad=wails and pleas]

har taraf hai.n asiir ham-aavaaz
baaG hai ghar teraa to ai sayyaad

[asiir=prisoner; ham-aavaaz=in one voice/in chorus; sayyad=hunter]

ham ko maranaa ye hai ke kab hove
apanii qaid-e-hayaat se aazaad

[qaid=prison; hayaat=life]

Home | Index of Poets


Last updated on 1st July, 1998