Meer Taqi Meer


jo is shor se "Meer" rotaa rahegaa
Meer Taqi Meer

jo is shor se 'Meer' rotaa rahegaa
to ham-saayaa kaahe ko sotaa rahegaa

mai.n vo ronewaalaa jahaa.N se chalaa huu.N
jise abr har saal rotaa rahegaa

mujhe kaam rone se hardam hai naasih
tuu kab tak mere muu.Nh ko dhotaa rahegaa

base giriyaa aa.Nkhe.n terii kyaa nahii.n hai.n
jahaa.N ko kahaa.N tak Dubotaa rahegaa

mere dil ne vo naalaa paidaa kiyaa hai
jaras ke bhii jo hosh khotaa rahegaa

tuu yuu.N gaaliyaa.N Gair ko shauq se de
hame.n kuchh kahegaa to hotaa rahegaa

bas ae 'Meer' mizhGaa.N se po.nchh aa.Nsuo.n ko
tuu kab tak ye motii pirotaa rahegaa

[mizhGaa.N=eyelashes]

Home | Index of Poets


Last updated on 19th December, 1997