Meer Taqi Meer


Gam rahaa jab tak ki dam me.n dam rahaa
Meer Taqi Meer

Gam rahaa jab tak ki dam me.n dam rahaa
dil ke jaane kaa nihaayat Gam rahaa

husn thaa teraa bahot aalam fareb
Khat ke aane par bhii ik aalam rahaa

mere rone kii haqiiqat jis me.n thii
ek muddat tak vo kaaGaz nam rahaa

jaamaa-e-eharaam-e-zaahid par na jaa
thaa haram me.n lekin naa-maharam rahaa

[jaamaa-e-eharaam=robe worn on Haj; naa-maharam=immodest/impure]

Home | Index of Poets


Last updated on 9th December, 1997