Home | Index of Poets Manzar Bhopali

sadaa detii hai Khushbuu chaa.Nd taare bol pa.Date hai.n


sadaa detii hai Khushbuu chaa.Nd taare bol pa.Date hai.n
nazar jaisii nazar ho to nazaare bol pa.Date hai.n

tumhaari hii nigaaho.n ne kahaa hai ham se ye aksar
tumhaare jism par to rang saare bol pa.Date hai.n

mahak jaate hai.n gul jaise sabaa ke chuum lene se
agar lahare.n muKhaatib ho.n kinaare bol pa.Date hai.n

zabaa.N se baat karane me.n jahaa.N rusvaa_ii hotii hai
vahaa.N Khaamosh aa.Nkho.n ke ishaare bol pa.Date hai.n

chhupaanaa chaahate hai.n un se dil ka haal ham lekin
hamaare aa.Nsuo.n me.n gam hamaare bol pa.Date hai.n

terii paabandiyo.n se ruk nahi.n sakatii.n ye fariyaade.n
agar ham chup rahe.n to zaKhm saare bol pa.Date hai.n

Contributed by Khursheed Ahmed

Home | Index of Poets Manzar Bhopali
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 26th May, 2002