Home | Index of Poets Mazhar Imam

teraa hii bahr safiinaa ravaa.N bhii teraa hai


teraa hii bahr safiinaa ravaa.N bhii teraa hai
bha.Nvar bhii tere hai.n aur baad_baa.N bhii teraa hai 

[bahr=ocean; safiinaa=boat; ravaa.N=moving]
[bha.Nvar=whirlpool; baad_baa.N=sail] 

hai terii bazm me.n aaKhir kahaa.N jagah merii
charaaG bhii hai.n tere aur dhuaa.N bhii teraa hai 

[bazm=gathering] 

mujhe to nazr bhii karane ko kuchh nahii.n apanaa
jabii.n kii Khaak terii aastaa.N bhii teraa hai 

[nazr=offering; jabii.n=firehead; Khaak=dust/ashes; aastaa.N=threshold] 

naquush-e-paa ko uThaaye kahaa.N khaa.N jaa_uu.N
ki gard-e-rah bhii terii kaaravaa.N bhii teraa hai 

[naquush-e-paa=footprints; gard=dust; rah=way; kaaravaa.N=caravan] 

diyaa hai kyo.n mujhe lauh-o-qalam kaa baar-e-giraa.N
ki gardishe.n bhii terii aasmaa.N bhii teraa hai 

lauh-o-qalam=slate and pen; baar=burden; giraa.N=heavy]
[gardish=revolution] 

bas ek kashaakash-e-benaam aur mai.n bebas
natiijaa bhii hai teraa imtahaa.N bhii teraa hai 

[kashaakash=struggle; benaam=without a name; bebas=helpless]
[natiijaa=result; imtahaa.N=test] 

mai.n thak ke baiTh rahuu.N yaa qadam ba.Dhaaye chaluu.N
fanaa bhii terii hai naam-o-nishaa.N bhii teraa hai 

[fanaa=mortality/destruction] 

Home | Index of Poets Mazhar Imam
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 25th May, 2001