Home | Index of Poets Kishwar Naheed

hasarat hai tujhe saamane baiThe kabhii dekhuu.N


hasarat hai tujhe saamane baiThe kabhii dekhuu.N
mai.n tujh se muKhaatib huu.N teraa haal bhii puuchhuu.N

[muKhaatib honaa = to address someone]

dil me.n hai mulaaqaat kii Khvaahish kii dabii aag
mehandii lage haatho.n ko chhupaa kar kahaa.N rakhuu.N

[Khvaahish = desire]

jis naam se tuune mujhe bachapan se pukaaraa
ik umr guzarane pe bhii vo naam na bhuluu.N

tuu ashk hii ban ke merii aa.Nkho.n me.n samaa jaa
mai.n aa_iinaa dekhuu.N to teraa aks bhii dekhuu.N

[aks = reflection]

puuchhuu.N kabhii Guncho.n se sitaaro.n se havaa se
tujh se hii magar aa ke teraa naam na puuchhuu.N

[Gunchaa = flower bud]

ai merii tamannaa ke sitaare tuu kahaa.N hai
tuu aaye to ye jism shab-e-Gam ko na sau.npuu.N

[sau.npanaa = to entrust]

Home | Index of Poets Kishwar Naheed
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 16th October, 2001