Khwaja Mir Dard #6

apane taaii.n to har ghaDii Gam hai, aalam hai, daaG hai
Khwaja Mir Dard

apane taaii.n to har gha.Dii Gam hai, aalam hai, daaG hai
yaad kare hame.n kabhii kab ye tujhe dimaaG hai

ji kii Khushii nahii.n giro sabz-o-gul ke haath kuchh
dil ho shaguftaa jis jagah wo hii chaman hai baaG hai

kis kii ye chashm-e-mast ne bazm ko yuu.N chhakaa diya
masl-e-habaab sar nagu.N sharam se har ayaaG hai

jalate hii jalate subah tak guzarii use tamaam shab
dil hai ke sholaa hai koii, shamaa hai yaa chiraaG hai

paaiiye kis jagah bataa aye but-e-bewafaa tujhe
umr-e-guzashtaa kii tarah gum hii sadaa suraaG hai

sair-e-bahaar-o-baaG se ham ko maaf kiijiiye
us ke Khayaal-e-zulf se dard kise faraaG hai?

Home | Index of Poets


Last updated on 9th December, 1997