Home | Index of Poets Khumar Barabankvi

ai maut! unhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye


ai maut! unhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye 
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye 

O jaane vaale aa ki tere intazaar me.n 
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye 

Gam hai na ab Khushii hai na ummiid hai na yaas 
sab se najaat paaye zamaane guzar gaye 

kyaa laayaq-e-sitam bhii nahii.n ab mai.n dosto.n 
patthar bhii ghar me.n aaye zamaane guzar gaye 

jaane bahaar phuul nahii.n aadamii huu.N mai.n 
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye 

kyaa kyaa tavaqqo_at thii aaho.n se ai 'Khumar'
ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye 

Home | Index of Poets Khumar Barabankvi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 31st August, 2002