Home | Index of Poets Khumar Barabankvi

ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye


ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye 
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye 

bhuule hai.n unhe.n raftaa raftaa mudatto.n me.n ham 
qishto.n me.n Khud_kushii kaa mazaa ham se puuchhiye 

aaGaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye 
anjaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye 

jalate diyo.n me.n jalate gharo.n jaise zau kahaa.N 
sarakar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye 

vo jaan hii gaye ke hame.n un se pyaar hai 
aa.Nkho.n kii muKhbarii kaa mazaa ham se puuchhiye 

ha.Nsane kaa shauq ham ko bhii thaa aap kii tarah 
ha.Nsiye magar ha.Nsii kaa mazaa ham se puuchhiye 

ham taubaa kar ke mar gaye bemaut ai 'Khumar'
tauhiin-e-maikashii kaa mazaa ham se puuchhiye 

Contributed by Fayaz Razvi

Home | Index of Poets Khumar Barabankvi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 31st August, 2002