Home | Index of Poets Khumar Barabankvi

kabhii jo mai.n ne masarrat kaa ehatamaam kiyaa


kabhii jo mai.n ne masarrat kaa ehatamaam kiyaa 
ba.De Tappak se Gam ne mujhe salaam kiyaa 

hazaar tark-e-ta'alluq kaa ehatamaam kiyaa 
magar jahaa.N vo mile dil ne apanaa kaam kiyaa 

zamaane vaalo.n ke Dar se uThaa na haath magar 
nazar se us ne basad maazarat salaam kiyaa 

kabhii ha.Nse kabhii aahe.n bharii.n kabhii roye 
baqadr-e-martabaa har Gam kaa ehataraam kiyaa 

hamaare hisse kii may kaam aaye pyaaso.n ke 
zer-e-raah-e-Khair gunaah shikast-e-jaam kiyaa 

tuluu-e-mahar se bhii ghar ki tiiragii na ghaTii 
ek aur shab kaTii yaa mai.n ne din tamaam kiyaa 

duaa ye hai ke na huu.N gum_raah ham_safar mere 
'Khumar' mai.n ne to apanaa safar tamaan kiyaa 

Contributed by Fayaz Razvi

Home | Index of Poets Khumar Barabankvi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 31st August, 2002