Contributed by: Fayaz Razvi

nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
Krishan Bihari Noor

nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad

mai.n kaise aur kis simt mo.Dataa Khud ko
kisii ki chaah na thii dil me.n terii chaah ke baad

zamiir kaa.Np to jataa hai aap kuchh bhii kahe.n
vo ho gunaah se pahale ke ho gunaah ke baad

kaTii huii thii.n tanaabe.n tamaam rishto.n kii
chhupaataa sar mai.n kahaa.N tujhase rasm-o-raah ke baad

havas ne to.D dii baraso.n kii saadhanaa merii
gunaah kiyaa hai ye janaa magar gunaah ke baad

gavaah chaah rahe the vo begunaahii kaa
zubaa.N se kah na sakaa kuchh Khudaa-gavaah ke baad

Khatuut kar diye vaapas magar merii nii.nde.n
i.nhe.n bhii chho.D do ik raham kii nigaah ke baad

Home | Index of Poets


Last updated on 25th January, 1998