Home | Index of Poets Kaifi Azmi

andeshe


ruuh bechain hai ik dil kii aziiyat kyaa hai
dil hii sholaa hai to ye soz-e-mohabbat kyaa hai
vo mujhe bhuul ga_ii iskii shikaayat kyaa hai
ranj to ye hai ke ro-roke bhulaayaa hogaa

vo kahaa.N aur kahaa.N kaahif-e-Gam sozish-e-jaa.N
us kii rangiin nazar aur nuquush-e-hirmaa.N
us kaa ehsaas-e-latiif aur shikast-e-armaa.N
taanaazan ek zamaanaa nazar aayaa hogaa

jhuk ga_ii hogii javaa.N-saal umango.n kii jabii.n
miT ga_ii hogii lalak Duub gayaa hogaa yaqii.n
chhaa gayaa hogaa dhuaa.N ghuum ga_ii hogii zamii.n
apane pahale hii gharonde ko jo Dhaayaa hogaa

dil ne aise bhii kuchh afsaane sunaaye ho.Nge
ashk aa.Nkho.n ne piye aur na bahaaye ho.Nge
band kamare me.n jo Khat mere jalaaye ho.Nge
ek-ik harf jabii.n par ubhar aayaa hogaa

us ne ghabaraake nazar laakh bachaa_ii hogii
miTake ik naqsh ne sau shaql dikhaa_ii hogii
mez se jab merii tasviir haTaa_ii hogii
har taraf mujh ko ta.Daptaa huaa paayaa hogaa

bemahal chhe.D pe jazbaat ubal aaye ho.Nge
Gam pashemaan tabassum me.n Dhal aaye ho.Nge
naam par mere jab aa.Nsuu nikal aaye ho.Nge
sar na kaa.Ndhe se sahalii ke uThaayaa hogaa

zulf zid kar ke kisii ne jo banaa_ii hogii
ruuThw jalvo.N pe Khizaa.N aur bhii chhaa_ii hogii
barq ashvo.N ne ka_ii din na giraa_ii hogii
rang chehare pe ka_ii roz na aayaa hogaa

hoke majabuur mujhe us ne bhulaayaa hogaa
zahar chup kar ke davaa jaan ke Khaayaa hogaa

Contributed by Guri

Home | Index of Poets Kaifi Azmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 12th May, 2002