Home | Index of Poets Kaifi Azmi

ibn-e-mariyam


tum Khudaa ho
Khudaa ke beTe ho
yaa faqat amn ke payam_bar ho
ya kisii kaa hasii.N takhayyul ho
jo bhii ho mujh ko achchhe lagate ho
mujh ko sachche lagate ho

is sitaare me.n jis me.n sadiyo.n se
jhuuTh aur kizb kaa andheraa hai
is sitaare me.n jis ko har ruKh se
ra.ngatii sarhado.n ne gheraa hai

is sitaare me,n jis kii aabaadii
amn botii hai jang kaaTatii hai

raat piitii hai nuur mukhaD.o.N kaa
subah siino.N kaa Khuun chaaTatii hai

tum na hote to jaane kyaa hotaa

tum na hote to is sitaare me.n
devataa raakashas Gulaam imaam
paarasaa rind rah_bar rah_zan
birehman shaiKh paadarii bhikshuu
sabhii hote magar hamaare liye
kaun cha.Dataa Khushii se suulii par

jho.NpaD.on me.n ghiraa ye viiraanaa
machhliyaa.N din me.n suuKhatii hai.n jahaa.N
billiyaa.N duur baiThii rahatii hai.n
aur Khaarish_zadaa se kuchh kutte
leTe rahate hai.n be-niyaazaanaa
dam maro.De ke ko_ii sar kuchale
kaaTanaa kyaa ye bho.Nkate bhii nahii.n

aur jab vo dahakataa angaaraa
chhan se saagar me.n Duub jaataa hai
tiiragii o.D letii hai duniyaa
kashtiyaa.N kuchh kinaare aatii hai.n
bhaang gaanjaa charas sharaab afiim
jo bhii laaye.N jahaa.N se bhii laaye.N
dau.Date hai.n idhar se kuchh saaye
aur sab kuchh utaar laate hai.n

gaa.Dii jaatii hai adal kii miizaan
jis kaa hissaa usii ko miltaa hai

tum yahaa.N kyo.N kha.De ho muddat se

ye tumhaarii thakii-thakii bhe.Den
raat jin ko zamii.n ke siine par
subah hote u.NDel detii hai
ma.Ndiyo.n daftaro.n milo.n kii taraf
haa.Nk detii Dhakel detii hai
raaste me.n ye ruk nahii.n sakatii.n
to.D ke ghuTane jhuk nahii.n sakatii.n

in se tum kyaa tavaqqo rakhate ho
bhe.Diyaa in ke saath chalataa hai

takate rahate ho us sa.Dak kii taraf
dafn jis me.n ka_ii kahaaniyaa.N hai.n
dafn jis me.n ka_ii javaaniyaa.N hai.n
jis pe ik saath bhaagii phiratii hai.n
Khaalii jebe.n bhii aur tijoriyaa.N bhii

jaane kis kaa hai intazaar tumhe.n

mujh ko deKho ke mai.n vahii to huu.N
jis ko ko.Don kii chha.Nv me.n duniyaa
bechatii bhii Khariidatii bhii thii

mujh ko deKho ke mai.n vahii to huu.N
jis ko kheto.n me.n aise baa.Ndhaa thaa
jaise mai.N un kaa ek hissaa thaa
khet bikate to mai.n bhii bikataa thaa

mujh ko deKho ke mai.n vahii to huu.N
kuchh mashiine.n banaa_ii jab mai.n ne
un mashiino.n ke maaliko.n ne mujhe
be-jhijhak un me.n aise jhau.Nk diyaa
jaise mai.n kuchh nahii.n huu.N ii.Ndhan huu.N

mujh ko dekho ke mai.n thakaa haaraa
phir rahaa huu.N yugo.n se aavaaraa

tum yahaa.N se haTo to aaj kii raat
so rahuu.N mai.n isii chabuutare par

tum yahaa.N se haTo Khudaa ke liye

jaao vo Vietnam ke jangal
us ke masluub shahar zaKhmii gaa.Nv
jin ko inziil pa.Dane vaalo.n ne
raund Daalaa hai phuu.Nk Daalaa hai

jaane kab se pukaarte hai.n tumhe.n

jaao ik baar phir hamaare liye
tum ko cha.Dhanaa pa.Degaa suulii par


[faqat=sirf, only, just; amn=peace]
[payambar=avtaar, paigambar, incarnation]
[takhayyul=kalpanaa, imagination]
[kizb=same as jhooTh, [or 'gapp' in Punjabi], fictional]
[rukh=taraf, direction; sarhad=siimaa, boundary (man made divisions)]
[nuur=jyotii, chamak, radiance; subah=praatah-kaal, dawn]
[paarasaa=pavitra, the pure; rind=sharaabii, the inebriated]
[rah_bar=path-pradarshak, one who shows the way]
[rah_zan=luTere, robbers; birahman=brahmin]
[jho.Npa.Do.n me.n=kachche makaano.N mei.N (in make-shift huts)]
[Khaarish_zadaa=khujlii se piiD.it, itch-ridden]
[be-niyaazaanaa=nischint, carefree; tiirgii=andheraa, darkness]
[adal=nyaay, justice; miizaan=taraazoo, weighing-scale]
[khayaanat=be-imaanii, deception; tavaqqo=apekshaa, ummiid, expectation]
[dafn=miTTii mei.N dabii huyi, buried; ii.Ndhan=fuel]
[masloob=saliib par chaD.aaye gaye, lynched; inzeel=the Bible]

Contributed by Guri

Home | Index of Poets Kaifi Azmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 12th February, 2002