Home | Index of Poets Kaifi Azmi

nazaraanaa


tum pareshaan na ho baab-e-karam vaa na karo 
aur kuchh der pukaaruu.Ngaa chalaa jaauu.Ngaa 
isii kuuche me.n jahaa.N chaa.Nd ugaa karate hai.n
shab-e-taariik guzaaruu.Ngaa chalaa jaauu.Ngaa 

raastaa bhuul gayaa yaa yahaa.N manzil hai merii 
ko_ii laayaa hai yaa Khud aayaa huu.N maaluum nahii.n 
kahate hai.n husn ki nazare.n bhii hasii.n hotii hai.n 
mai.n bhii kuchh laayaa huu.N kyaa laayaa huu.N maaluum nahii.n 

yuu.N to jo kuchh thaa mere paas mai.n sab kuchh bech aayaa 
kahii.n inaam milaa aur kahii.n qiimat bhii nahii.n 
kuchh tumhaare liye aa.Nkho.n me.n chhupaa rakkhaa hai 
dekh lo aur na dekho to shikaayat bhii nahii.n 

ek to itanii hasii.n duusare ye aaraa_ish
jo nazar pa.Datii hai chehare pe Thahar jaatii hai
muskuraa detii ho rasaman bhii agar mahafil me.n
ik dhanak TuuT ke siino.n me.n bikhar jaatii hai

garm boso.n se taraashaa huaa naazuk paikar
jis kii ik aa.Nch se har ruuh pighal jaatii hai
mai.n ne sochaa hai to sab sochate ho.nge shaayad
pyaas is tarah bhii kyaa saa.Nche me.n Dhal jaatii hai

kyaa kamii hai jo karogii meraa nazaraanaa qubuul
chaahane vaale bahut chaah ke afsaane bahut
ek hii raat sahii garmii-e-hangaamaa-e-ishq
ek hii raat me.n jal marate hai.n paravaane bahut

phir bhii ik raat me.n sau tarah ke mo.D aate hai.n 
kaash tum ko kabhii tanahaa_ii kaa ehasaas na ho 
kaash aisaa na ho Gair-e-raah-e-duniyaa tum ko 
aur is tarah ki jis tarah ko_ii paas na ho 

aaj kii raat jo merii tarah tanhaa hai 
mai.n kis tarah guzaaruu.Ngaa chalaa jaauu.Ngaa 
tum pareshaa.N na ho baab-e-karam vaa na karo 
aur kuchh der pukaaruu.Ngaa chalaa jaauu.Ngaa 

Contributed by Dinesh Shenoy

Home | Index of Poets Kaifi Azmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 26th May, 2002