Home | Index of Poets Kaifi Azmi

sunaa karo merii jaa.N in se un se afasaane


sunaa karo merii jaa.N in se un se afasaane 
sab ajanabii hai.n yahaa.N kaun kis ko pahachaane 

yahaa.N se jald guzar jaao qaafile vaalo.n 
hai.n merii pyaas ke phuu.Nke hue ye viiraane 

merii junuun-e-parastish se ta.ng aa gaye log 
sunaa hai ba.nd kiye jaa rahe hai.n but-Khaane 

jahaa.N se pichhale pahar ko_ii tashnaa-kaam uThaa 
vahii.n pe to.De hai.n yaaro.n ne aaj paimaane 

bahaar aaye to meraa salaam kah denaa 
mujhe to aaj talab kar liyaa hai seharaa ne 

sivaa hai huqm ki "Kaifi" ko sang-saar karo 
masiihaa baiThe hai.n chhup ke kahaa.N Khudaa jaane 

Home | Index of Poets Kaifi Azmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 11th May, 2002