Home | Index of Poets Kaifi Azmi

itanaa to zindagiii me.n kisii kii Khalal pa.De


itanaa to zindagiii me.n kisii kii Khalal pa.De 
ha.Nsane se ho sukuun naa rone se kal pa.De 

jis tarah ha.Ns rahaa huu.N mai.n pii-pii ke ashk-e-Gam 
yuu.N duusaraa ha.Nse to kalejaa nikal pa.De 

ek tum ke tum ko fikr-e-nasheb-o-faraaz hai 
ek ham ke chal pa.De to baharahaal chal pa.De 

[nasheb=descent; faraaz=ascent] 

muddat ke baad us ne jo kii lutf kii nigaah 
jii Khush to ho gayaa magar aa.Nsuu nikal pa.De 

saaqii sabhii ko hai Gam-e-tashnaalabii magar 
may hai usii ke naam pe jis ke ubal pa.De 

Home | Index of Poets Kaifi Azmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 11th May, 2002