ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
Josh Malihabadi

ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ki Gu.Nche khil to sake khil ke muskuraa na sake

merii tabaahii dil par to raham khaa na sakii
jo raushanii me.n rahe raushanii ko paa na sake

na jaane aah! ki un aa.Nsuuo.n pe kyaa guzarii
jo dil se aa.Nkh tak aaye mishgaa.N tak aa na sake

rahe.n Khuluus-e-muhabbat ke haadasaat jahaa.N
mujhe to kyaa mere naqsh-e-qadam miTaa na sake

kare.nge mar ke baqaa-e-davaam kyaa haasil
jo zi.ndaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake

nayaa zamaanaa banaane chale the diivaane
na_ii zamii.n, nayaa aasamaa.N banaa na sake

Home | Index of Poets


Last updated on 16th January, 1999