Home | Index of Poets Jan Nissar Akhtar

jab lage zaKhm to qaatil ko duaa dii jaaye


jab lage zaKhm to qaatil ko duaa dii jaaye
hai yahii rasm to ye rasm uThaa dii jaaye

[rasm = custom/tradition]

tishnagii kuchh to bujhe tishnaalab-e-Gam kii
ik nadii dard ke shaharo.n me.n bahaa dii jaaye

[tishnagii = thirst; tishnaalab = extremely thirsty]

dil kaa vo haal huaa ai Gam-e-dauraa.N ke tale
jaise ik laash chaTTaano.n me.n dabaa dii jaaye

ham ne insaano.n ke dukh dard kaa hal Dhuu.NDh liyaa
kyaa buraa hai jo ye afvaa u.Daa dii jaaye

[afvaa = rumour]

ham ko guzarii hu_ii sadiyaa.N to na pahachaane.ngii
aane vaale kisii lamhe ko sadaa dii jaaye

[lamhaa = moment; sadaa = call]

phuul ban jaatii hai.n dahake hue sholo.n kii lave.n
shart ye hai ke unhe.n Khuub havaa dii jaaye

kam nahii.n nashe me.n jaa.De kii gulaabii raate.n
aur agar terii javaanii bhii milaa dii jaaye

[ja.Daa = winter]

ham se puuchho Gazal kyaa hai Gazal kaa fan kyaa hai
chand lafzo.n me.n ko_ii aah chhupaa dii jaaye

Home | Index of Poets Jan Nissar Akhtar
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd November, 2001