Contributed by Fayaz Razvi

fursat-e-kaar faqat chaar gha.Dii hai yaaro
Jan Nissar Akhtar

fursat-e-kaar faqat chaar gha.Dii hai yaaro
ye na socho ke abhii umr pa.Dii hai yaaro

apane taariik makaano.n se to baahar jhaa.Nko
zindagii shammaa liye dar pe kha.Dii hai yaaro

unake bin jii ke dikhaa de.nge chalo yuu.N hii sahii
baat itanii sii hai ke zid aan pa.Dii hai yaaro

faasalaa cha.nd qadam kaa hai manaa le.n chal kar
subah aa_ii hai magar duur kha.Dii hai yaaro

kis kii dahaliiz pe le jaake sajaauu.N is ko
biich raste me.n ko_ii laash pa.Dii hai yaaro

jab bhii chaahe.nge zamaane ko badal Daale.nge
sirf kahane ke liye baat ba.Dii hai yaaro

Home | Index of Poets


Last updated on 2nd October, 1998