Home | Index of Poets Jan Nissar Akhtar

zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa


zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa 
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa 

[mizaaj = temperament/nature]

muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko 
vo ek lamhaa ki mai.n tujh se tang aayaa thaa 

[muaaf = forgive]

shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise 
kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa 

guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah 
abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa 

pataa nahii.n ki mere baad un pe kyaa guzarii 
mai.n chand Khvaab zamaane me.n chho.D aayaa thaa 

[chand = few]

Home | Index of Poets Jan Nissar Akhtar
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd November, 2001