Contributed by Khalid Jamil


phir kahoge tum muqaabil ko sazaa ke vaaste
Qamar Jalalwi

phir kahoge tum muqaabil ko sazaa ke vaaste
aa_iine ko haath se rakh do Khudaa ke vaaste

kaabaa-e-dil ko na taakotum jafaa ke vaaste
ai buto ye ghar Khudaa kaa hai Khudaa ke vaaste

yaa ilaahii kis taraf se pas hai baab-e-asar
kaun saa nazadiik hai raastaa duaa ke vaaste

kah gaye kyaa dekh kar nabzo.n ko kyaa jaane tabiib
haath uThaaye hai.n aziizo.n ne duaa ke vaaste

tum bhii naam-e-Khudaa ho mashq-e-zulm-o-jor ho
aasmaaN se mashvaraa kar lo jafaa ke vaaste

mujh ko us miTTii se Khaaliq ne banaayaa hai "Qamar"
rah ga_ii.n thii jo azal ke din vafaa ke vaaste

Home | Index of Poets


Last updated on 23rd September, 1999