misaal isakii kahaa.N hai zamaane me.n
Javed Akhtar

misaal isakii kahaa.N hai zamaane me.n
ki saare khone ke Gam paaye hamane paane me.n

vo shakl pighalii to har shai me.n Dhal gaii jaise
ajiib baat huii hai use bhulaane me.n

jo mu.ntazir na milaa vo to ham hai sharmi.ndaa
ki hamane der lagaa dii palaT ke aane me.n

latiif thaa vo taKhaiyyul se, Khvaab se naazuk
gavaa diyaa hamane hii use aazamaane me.n

samajh liyaa thaa kabhii ek saraab ko dariyaa
par ek sukuun thaa hamako fareb khaane me.n

jhukaa daraKht havaa se, to aa.Ndhiyo.n ne kahaa
ziyaadaa farq nahii.n jhuk ke TuuT jaane me.n

Home | Index of Poets


Last updated on 12th January, 1998