Iqbal Sufipuri


ko_ii samajhaayiye ki kyaa rang hai maiKhaane kaa
Iqbal Sufipuri

ko_ii samajhaayiye ki kyaa rang hai maiKhaane kaa
aa.Nkh saaqii kii uThe, naam ho paimaane kaa

garmii-e-shamaa kaa afasaanaa sunaanevaalo
raqs dekhaa nahii.n tum ne abhii paravaane kaa

[raqs=dance]

chashm-e-saaqii mujhe har gaam pe yaad aatii hai
raastaa bhuul na jaauu.N kahii.n maiKhaane kaa

[chashm-e-saaqii=saaqii kii nazar]

ab to har shaam guzaratii hai isii kuuche me.n
ye natiijaa huaa naaseh tere samajhaane kaa

[kuuchaa=street; natiijaa=result; naaseh=advisor]

ab to har ma.nzil se guzarnaa to hai aasaa.N "Iqbal"
ishq hai naam Khud apane se guzar jaane kaa

Home | Index of Poets


Last updated on 30th April, 2000