Allama Iqbal


Khird ke paas Khabar ke siwaa kuchh aur nahii.n
Allama Iqbal

Khird ke paas Khabar ke siwaa kuchh aur nahii.n
teraa ilaaj nazar ke siwaa kuchh aur nahii.n

[Khird=dimaaG]

har muqaam se aage muqaam hai teraa
hayaat zauq-e-safar ke siwaa kuchh aur nahii.n

rango.n me.n gardish-e-Khuu.N hai agar to kyaa haasil
hayaat soz-e-jigar ke siwaa kuchh aur nahii.n

uruus-e-laalaa munaasib nahii.n hai mujhase hijaab
ki mai.n nasiim-e-sahar ke siwaa kuchh aur nahii.n

jise qasaad samajhate hai.n taajaran-e-firang
wo shay mataa-e-hunar ke siwaa kcuhh aur nahii.n

giraa.N_bahaa hai to hifz-e-Khudii se hai warnaa
gauhar me.n aab-e-gauhar ke siwaa kuchh aur nahii.n

[giraa.N_bahaa=precious; hifz-e-Khudi=preservation of self]

Home | Index of Poets


Last updated on 18th December, 1997