Home | Index of Poets Iftikhar Imam Siddiqui

tuu nahii.n to zindagii mai.n aur kyaa rah jaayegaa


tuu nahii.n to zindagii mai.n aur kyaa rah jaayegaa 
duur tak tanhaa_iiyo.n kaa sil_silaa rah jaayegaa 

kiijiye kyaa guftaguu kyaa un se mil kar sochiye 
dil-shikastaa Khvaahisho.n kaa zaayaqaa rah jaayegaa 

dard kii sarii tahe.n aur saare guzare haadase 
sab dhuaa.N ho jaaye.nge ek vaaqiyaa rah jaayegaa 

ye bhii hogaa vo mujhe dil se bhulaa degaa magar 
yuu.N bhii hogaa Khud usii me.n ek Khalaa rah jaayegaa 

[Khalaa=vacuum] 

daayar-e-inkaar ke iqaraar kii saragoshiyaa.N 
ye agar TuuTe kabhii to faasalaa rah jaayegaa 

[daayaraa=circle; saragoshiyaa.N=whispers] 

Home | Index of Poets Iftikhar Imam Siddiqui
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 22nd February, 2003